Sirf khanjar hi nahin aankhon mein paani chahiye / सिर्फ़ ख़ंजर ही नहीं आँखों में पानी चाहिए

by Rahat Indori
5/5 - (1 vote)
Sirf khanjar hi nahin aankhon mein paani chahiye
aey khuda dushman bhi mujh ko khandani chahiye .!

Shahar ki saari alif-lailayen buḍhī ho chukīn
shahzade ko koi taaza kahanī chahiye .!

Maine aey suraj tujhe puja nahin samjha toh hai
mere hisse mein bhi thoḍi dhoop aani chahiye .!

Merī qeemat kaun de sakta hai is bazar mein
tum zulekha ho tumhen qeemat lagani chahiye .!

Zindagi hai ik safar aur zindagī ki raah mein
zindagi bhi aaye toh thokar lagani chahiye .!

Maine apni ḳhushk aankhon se lahoo chhalka diya
ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye .!!

सिर्फ़ ख़ंजर ही नहीं आँखों में पानी चाहिए
ऐ ख़ुदा दुश्मन भी मुझ को ख़ानदानी चाहिए।

शहर की सारी अलिफ़-लैलाएँ बूढ़ी हो चुकीं
शाहज़ादे को कोई ताज़ा कहानी चाहिए।

मैंने ऐ सूरज तुझे पूजा नहीं समझा तो है
मेरे हिस्से में भी थोड़ी धूप आनी चाहिए।

मेरी क़ीमत कौन दे सकता है इस बाज़ार में
तुम ज़ुलेख़ा हो तुम्हें क़ीमत लगानी चाहिए।

ज़िंदगी है इक सफ़र और ज़िंदगी की राह में
ज़िंदगी भी आए तो ठोकर लगानी चाहिए।

मैंने अपनी ख़ुश्क आँखों से लहू छलका दिया
इक समुंदर कह रहा था मुझ को पानी चाहिए।।