Woh kaun hai jo jhuki nazar se salaam kar ke chala gaya hai

by Khalil Ur Rehman Qamar
5/5 - (1 vote)

Woh kaun hai jo jhuki nazar se salaam kar ke chala gaya hai
usi nazar se tha kaam sab ko woh kaam kar ke chala gaya hai .!

Iss mahine bhi maine saari udaas raaten guzaarni hain
qamar’ woh pehli ka chaand hoga jo shaam kar ke chala gaya hai .!!


वो कौन है जो झुकी नज़र से सलाम कर के चला गया है
उसी नज़र से था काम सब को वो काम कर के चला गया है।

इस महीने भी मैंने सारी उदास रातें गुज़ारनी हैं
कमर’ वो पहली का चाँद होगा जो शाम कर के चला गया है।।