Bande zameen aur aasman sarma ki shab kahaniyan

by Aitbar Sajid
3.5/5 - (2 votes)
Bande zameen aur aasman sarma ki shab kahaniyan
sachchi hain ye rifaqaten baaqi hain sab kahaniyan .!

Kheme ukhaḍ ujaḍ gaye aisi hawa-e-shab chali
kirnen zameen pe likh gaiin kaisi ajab kahaniyan .!

WusAt-e-dasht ke makin waadi mein kooch kar gaye
shaḳhon pe barf likh gayi naġhma-ba-lab kahaniyan .!

Chaand ki ḳhaak aa gayi pairon tale hayat ke
aisi kathin rivayaten aisi kadhab kahaniyan .!

Jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitaab mein
mittī se sun raha hoon main aali-nasab kahaniyan .!

WusAt-e-koh-o-dasht ho shahar o nagar ka gasht ho
mera safar hikayaten mera adab kahaniyan .!

Shahron ko kya ḳhabar ki main kaun hoon kis faza mein hoon
likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan .!!

बंदे ज़मीन और आसमाँ सरमा की शब कहानियाँ
सच्ची हैं ये रिफाक़तें बाक़ी हैं सब कहानियाँ।

ख़ेमे उखड़ उजड़ गए ऐसी हवा-ए-शब चली
किरनें ज़मीं पे लिख गईं कैसी अजब कहानियाँ।

वुसअत-ए-दश्त के मकीं वादी में कूच कर गए
शाख़ों पे बर्फ़ लिख गई नग़्मा-ब-लब कहानियाँ।

चाँद की ख़ाक आ गई पैरों तले हयात के
ऐसी कठिन रिवायतें ऐसी कढब कहानियाँ।

जौहर-ए-हक़ नहीं मिला मुझ को किसी किताब में
मिट्टी से सुन रहा हूँ मैं आली-नसब कहानियाँ।

वुसअत-ए-कोह-ओ-दश्त हो शहर ओ नगर का गश्त हो
मेरा सफ़र हिकायतें मेरा अदब कहानियाँ।

शहरों को क्या ख़बर कि मैं कौन हूँ किस फ़ज़ा में हूँ
लिखनी हैं एक दिन मुझे सब्र-तलब कहानियाँ।।