Us ki aankhon ko koi rok lagaya jaaye / उस की आँखों को कोई रोक लगाया जाए

by Khalil Ur Rehman Qamar
5/5 - (1 vote)
Us ki aankhon ko koi rok lagaya jaaye
phir kabhi neend ko pehloo se uthaya jaaye .!

Us ko maaloom toh ho hum pe guzarti kya hai
raat dar raat ho ik raat jagaaya jaaye .!

Jab tujhe bhool gaye hain toh bahut yaad kiya
ye sabab hai toh tujhe phir se bulaaya jaaye .!

Is se pehle ki koi aa ke giraaye mandir
dil ke kaabe se tera buutt bhi hataya jaaye .!!

उस की आँखों को कोई रोक लगाया जाए
फिर कभी नींद को पहलू से उठाया जाए।

उस को मालूम तो हो हम पे क्या गुज़रती है
रात दर रात हो इक रात जगाया जाए।

जब तुझे भूल गए हैं तो बहुत याद किया
ये सबब है तो तुझे फिर से बुलाया जाए।

इस से पहले कि कोई आ के गिराए मंदिर
दिल के काबे से तेरा बुत्त भी हटाया जाए।।