Teri har baat mohabbat mein gawara kar ke / तेरी हर बात मोहब्बत में गवारा कर के

by Rahat Indori
5/5 - (1 vote)
Teri har baat mohabbat mein gawara kar ke
dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke .!

Aate jaate hain kayi rang mire chehre par
log lete hain maza zikr tumhara kar ke .!

Ek chingnri nazar aayi thi basti mein usey
wo alag hat gaya aandhi ko ishara kar ke .!

Aasmanon ki taraf phenk diya hai maine
chand mitti ke charaġhon ko sitara kar ke .!

Main wo dariya hoon ki har boond bhanwar hai jis ki
tum ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke .!

Muntazir hoon ki sitaron kī zara aankh lage
chaand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke .!!

तेरी हर बात मोहब्बत में गवारा कर के
दिल के बाज़ार में बैठे हैं ख़सारा कर के।

आते जाते हैं कई रंग मिरे चेहरे पर
लोग लेते हैं मज़ा ज़िक्र तुम्हारा कर के।

एक चिंगारी नज़र आई थी बस्ती में उसे
वो अलग हट गया आँधी को इशारा कर के।

आसमानों की तरफ़ फेंक दिया है मैंने
चंद मिट्टी के चराग़ों को सितारा कर के।

मैं वो दरिया हूँ कि हर बूँद भँवर है जिस की
तुम ने अच्छा ही किया मुझ से किनारा कर के।

मुंतज़िर हूँ कि सितारों की ज़रा आँख लगे
चाँद को छत पे बुला लूँगा इशारा कर के।।