Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain / रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं

by Ahmad Faraz
5/5 - (1 vote)
Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
dar se uthte hain toh deewar se lag jaate hain .!

Ishq aaġhaz mein halkī sī khalish rakhta hai
baad mein saikdon aazaar se lag jaate hain .!

Pahle pahle hawas ik-aadh dukaan kholti hai
phir toh baazaar ke baazaar se lag jaate hain .!

Bebasi bhī kabhi qurbat ka sabab banti hai
ro na paauen toh gale yaar se lag jaate hain .!

Katranen ġham ki jo galiyon mein uḍi phirti hain
ghar mein le aao toh ambaar se lag jaate hain .!

Daagh daaman ke hon dil ke hon ki chehre ke ‘faraz
kuchh nishaan umr kī raftaar se lag jaate hain .!!

रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं
दर से उठते हैं तो दीवार से लग जाते हैं।इश्क़ आग़ाज़ में हल्की सी ख़लिश रखता है
बाद में सैकड़ों आज़ार से लग जाते हैं।

पहले पहले हवस इक-आध दुकाँ खोलती है
फिर तो बाज़ार के बाज़ार से लग जाते हैं।

बेबसी भी कभी क़ुर्बत का सबब बनती है
रो न पाएँ तो गले यार से लग जाते हैं।

कतरनें ग़म की जो गलियों में उड़ी फिरती हैं
घर में ले आओ तो अम्बार से लग जाते हैं।

दाग़ दामन के हों दिल के हों कि चेहरे के ‘फ़राज़
कुछ निशाँ उम्र की रफ़्तार से लग जाते हैं।।