Mere hujre mein nahin aur kahin par rakh do / मेरे हुजरे में नहीं और कहीं पर रख दो

by Rahat Indori
4/5 - (1 vote)
Mere hujre mein nahin aur kahin par rakh do
aasman laaye ho le aao zameen par rakh do .!

Ab kahan dhundhne jaaoge humare qaatil
aap toh qatl ka ilzam hamin par rakh do .!

Maine jis taak pe kuchh toote diye rakkhe hain
chaand taaron ko bhi le ja ke wahin par rakh do .!!

मेरे हुजरे में नहीं और कहीं पर रख दो
आसमाँ लाए हो ले आओ ज़मीं पर रख दो।

अब कहाँ ढूँढने जाओगे हमारे क़ातिल
आप तो क़त्ल का इल्ज़ाम हमीं पर रख दो।

मैंने जिस ताक पे कुछ टूटे दिये रक्खे हैं
चाँद तारों को भी ले जा के वहीं पर रख दो।।