Bhar jaayenge jab zakhm toh aaunga dobara / भर जाएँगे जब ज़ख़्म तो आऊँगा दोबारा

by Sarvat Hussain
4.7/5 - (4 votes)
Bhar jaayenge jab zakhm toh aaunga dobara
main haar gaya jung magar dil nahin haara .!

Raushan hai miri umr ke taarik chaman mein
is kunj-e-mulaqat mein jo waqt guzara .!

Apne liye tajveez ki shamsheer-e-barahna
aur us ke liye shaakh se ik phool utara .!

Kuchh seekh lo lafzon ko baratne ka saleeqa
is shuġhl mein guzra hai bahut waqt humara .!

Lab khole parizaad ne aahista se ‘sarvat
jo guftugu karta hai sitaare se sitaara .!!

भर जाएँगे जब ज़ख़्म तो आऊँगा दोबारा
मैं हार गया जंग मगर दिल नहीं हारा।

रौशन है मिरी उम्र के तारीक चमन में
इस कुंज-ए-मुलाक़ात में जो वक़्त गुज़ारा।

अपने लिए तज्वीज़ की शमशीर-ए बरहना
और उस के लिए शाख़ से इक फूल उतारा।

कुछ सीख लो लफ़्ज़ों को बरतने का सलीक़ा
इस शुग़्ल में गुज़रा है बहुत वक़्त हमारा।

लब खोले परीज़ाद ने आहिस्ता से ‘सरवत
जों गुफ़्तुगू करता है सितारे से सितारा।।