Bahut hi bewakoofi kar rahe hain / बहुत ही बेवकूफी कर रहे हैं

by Ziya Mazkoor
4/5 - (1 vote)
Bahut hi bewakoofi kar rahe hain
jo aisa kamra khaali kar rahe hain .!

Ye kis ki naav utri paaniyon mein
jazeere doobne ki kar rahe hain .!

Samandar theek hain apni jagah par
machhere chhed khaani kar rahe hain .!

Main jin ke gham mein aadha reh gaya hoon
woh apni baat poori kar rahe hain .!

Bahut seedhe thay apne baap dada
tabhi hum kheti-baadi kar rahe hain .!

Ufaq par udd rahi hain faakhtayen
na lashkar pesh qadmi kar rahe hain .!

Bahishton se nikaale jaane wale
zameen par mauj masti kar rahe hain .!

Sitaare kya bataayen raaston ka
hamin aawara gardi kar rahe hain .!!

Zia Mazkoor

बहुत ही बेवकूफी कर रहे हैं
जो ऐसा कमरा खाली कर रहे हैं।

ये किस की नाव उतरी पानियों में
जज़ीरे डूबने की कर रहे हैं।

समंदर ठीक हैं अपनी जगह पर
मछेरे छेड़ खानी कर रहे हैं।

मैं जिन के ग़म में आधा रह गया हूँ
वो अपनी बात पूरी कर रहे हैं।

बहुत सीधे थे अपने बाप दादा
तभी हम खेती-बाड़ी कर रहे हैं।

उफ़क़ पर उड़ रही हैं फ़ाख़ताएँ
ना लश्कर पेश कदमी कर रहे हैं।

बहिश्तों से निकाले जाने वाले
ज़मीन पर मौज मस्ती कर रहे हैं।

सितारे क्या बताएं रास्तों का
हमीं आवारागर्दी कर रहे हैं।।

ज़िया मज़कूर