Hai ab wo bhi dast-e-kharidar mein / है अब वो भी दस्त-ए-ख़रीदार में

by Shariq Kaifi
3/5 - (1 vote)
Hai ab wo bhi dast-e-kharidar mein
khuda ki dukaan bhi hai bazar mein .!

Zameen aaj wo maangne aayi hai
jo us ki amaanat hai beemar mein .!

Khizan ka bhi aisa nahin koi zor
jo kho jaaun patton ke ambar mein .!

Na shaitan ko ab koi zid rahi
na ab hausla hai gunahgar mein .!

Faqat na-tawani ka hai e’tiraf
ye narmi jo aayi hai guftar mein .!

Usi ke isharon ko di hai zaban
wahi hai pas-e-parda inkar mein .!!

है अब वो भी दस्त-ए-ख़रीदार में
ख़ुदा की दुकाँ भी है बाज़ार में।

ज़मीं आज वो माँगने आई है
जो उस की अमानत है बीमार में।

ख़िज़ाँ का भी ऐसा नहीं कोई ज़ोर
जो खो जाऊँ पत्तों के अम्बार में।

न शैतान को अब कोई ज़िद रही
न अब हौसला है गुनहगार में।

फ़क़त ना-तवानी का है ए’तिराफ़
ये नरमी जो आई है गुफ़्तार में।

उसी के इशारों को दी है ज़बाँ
वही है पस-ए-पर्दा इंकार में।।