Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho / धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो

by Nida Fazli
5/5 - (1 vote)
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho .!

Sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jaati
dil ki dhadkan ko bhi binaai bana kar dekho .!

Pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-deewar saja kar dekho .!

Wo sitara hai chamakne do yunhi aankhon mein
kya zaroori hai use jism bana kar dekho .!

Faasla nazron ka dhoka bhi toh ho sakta hai
wo mile ya na mile haath baḍha kar dekho .!!

धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।

सिर्फ़ आँखों से ही दुनिया नहीं देखी जाती
दिल की धड़कन को भी बीनाई बना कर देखो।

पत्थरों में भी ज़बाँ होती है दिल होते हैं
अपने घर के दर-ओ-दीवार सजा कर देखो।

वो सितारा है चमकने दो यूँही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बना कर देखो।

फ़ासला नज़रों का धोका भी तो हो सकता है
वो मिले या न मिले हाथ बढ़ा कर देखो।।