Aakhiri aandhi ne sab kuchh pahle jaisa kar diya / आख़िरी आँधी ने सब कुछ पहले जैसा कर दिया

by Ziya Mazkoor
5/5 - (1 vote)
Aakhiri aandhi ne sab kuchh pahle jaisa kar diya
parde maile kar diye kaalin ganda kar diya .!

Mere saare log rafta rafta us ke ho gaye
mujh ko us ki mehfilon ne aur tanhaa kar diya .!

Aasmanon se sitaare aur qabron se ghulaab
mujh se poochho maine us ko kya nahin la kar diya .!

Pahle us ko le ke is duniya mein kitna jhooth hai
kya hua maine agar thoda izaafa kar diya .!

Aaj se kuchh saal pehle ek jitni umar thi
waqt ne us ko jawan aur mujhe budha kar diya .!!

आख़िरी आँधी ने सब कुछ पहले जैसा कर दिया
परदे मैले कर दिए कालीन गंदा कर दिया।

मेरे सारे लोग रफ्ता रफ्ता उस के हो गए
मुझ को उस की महफ़िलों ने और तन्हा कर दिया।

आसमानों से सितारे और कब्रों से गुलाब
मुझ से पूछो मैंने उस को क्या नहीं ला कर दिया।

पहले उसको ले के इस दुनिया में कितना झूठ है
क्या हुआ मैंने अगर थोड़ा इज़ाफा कर दिया।

आज से कुछ साल पहले एक जितनी उम्र थी
वक़्त ने उस को जवान और मुझे बूढ़ा कर दिया।।