Kahin meri jagah nahin kisi jagah khuda nahin / कहीं मेरी जगह नहीं किसी जगह खुदा नहीं

by Ziya Mazkoor
4.5/5 - (2 votes)
Kahin meri jagah nahin kisi jagah khuda nahin
kisi ka ghar bada nahin kisi ka dil bada nahin .!

Wo shehar bhar ke khat uthaye phir rahi hai purse mein
aur ek khat bhi us ne ikhtitaam tak padha nahin .!

Hum ek ghaar se nikl kar dusari mein aa gaye
ki zindagi ka irtiqa humara masla nahin .!

Mujhe wahan se baaz rakhne wale kaafi log hain
tumhara sath chahiye tumhara mashwara nahin .!

Sabhi ke raabte mein hai sabhi ko us ki khoj hai
wo kaun hai kahan se hai koi ataa pata nahin .!

Humaare jaise baghban ko kaun dega naukri
woh phool todte hue zara bhi sochta nahin .!

Mere khilaf hai toh kya tumhare haq mein hai toh kya
adaalton ka faisla khuda ka faisla nahin .!!

कहीं मेरी जगह नहीं किसी जगह खुदा नहीं
किसी का घर बड़ा नहीं किसी का दिल बड़ा नहीं।

वो शहर भर के खत उठाये फिर रही है पर्स में
और एक खत भी उस ने इख़्तिताम तक पढ़ा नहीं।

हम एक घार से निकल कर दूसरी में आ गए
कि ज़िन्दगी का इर्तिक़ा हमारा मसला नहीं।

मुझे वहां से बाज़ रखने वाले काफी लोग हैं
तुम्हारा साथ चाहिए तुम्हारा मशवरा नहीं।

सभी के राब्ते में है सभी को उस की खोज है
वो कौन है कहाँ से है कोई अता पता नहीं।

हमारे जैसे बाग़बान को कौन देगा नौकरी
वो फूल तोड़ते हुए ज़रा भी सोचता नहीं।

मेरे खिलाफ है तो क्या तुम्हारे हक़ में है तो क्या
अदालतों का फैसला खुदा का फैसला नहीं।।