Apne deewar-o-dar se poochhte hain / अपने दीवार-ओ-दर से पूछते हैं

by Rahat Indori
3/5 - (1 vote)
Apne deewar-o-dar se poochhte hain
ghar ke halaat ghar se poochhte hain .!

Kyon akele hain qaafile waale
ek ik humsafar se poochhte hain .!

Kya kabhi zindagi bhi dekhenge
bas yahi umr-bhar se poochhte hain .!

Jurm hai khwab dekhna bhi kya
raat-bhar chashm-e-tar se poochhte hain .!

Ye mulaqaat aaḳhiri toh nahin
hum judaai ke dar se poochhte hain .!

Zakhm ka naam phool kaise paḍa
tere dast-e-hunar se poochhte hain .!

Kitne jangal hain in makanon mein
bas yahi shahar bhar se poochhte hain .!

Ye jo deewar hai ye kis ki hai
hum idhar wo udhar se poochhte hain .!

Hain kanizen bhi is mahal mein kya
shahzaadon ke dar se poochhte hain .!

Kya kahin qatl ho gaya sooraj
raat se raat-bhar se poochhte hain .!

Kaun waaris hai chhaanv ka aaḳhir
dhoop mein humsafar se poochhte hain .!

Ye kinaare bhi kitne saada hain
kashtiyon ko bhanwar se poochhte hain .!

Wo guzarta toh hoga ab tanha
ek ik rahguzar se poochhte hain .!!

अपने दीवार-ओ-दर से पूछते हैं
घर के हालात घर से पूछते हैं।

क्यूँ अकेले हैं क़ाफ़िले वाले
एक इक हम-सफ़र से पूछते हैं।

क्या कभी ज़िंदगी भी देखेंगे
बस यही उम्र-भर से पूछते हैं।

जुर्म है ख़्वाब देखना भी क्या
रात-भर चश्म-ए-तर से पूछते हैं।

ये मुलाक़ात आख़िरी तो नहीं
हम जुदाई के डर से पूछते हैं।

ज़ख़्म का नाम फूल कैसे पड़ा
तेरे दस्त-ए-हुनर से पूछते हैं।

कितने जंगल हैं इन मकानों में
बस यही शहर भर से पूछते हैं।

ये जो दीवार है ये किस की है
हम इधर वो उधर से पूछते हैं।

हैं कनीज़ें भी इस महल में क्या
शाह-ज़ादों के डर से पूछते हैं।

क्या कहीं क़त्ल हो गया सूरज
रात से रात-भर से पूछते हैं।

कौन वारिस है छाँव का आख़िर
धूप में हम-सफ़र से पूछते हैं।

ये किनारे भी कितने सादा हैं
कश्तियों को भँवर से पूछते हैं।

वो गुज़रता तो होगा अब तन्हा
एक इक रहगुज़र से पूछते हैं।।