Aankh mein paani rakho honthon pe chingari rakho / आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो

by Rahat Indori
5/5 - (1 vote)
Aankh mein paani rakho honthon pe chingari rakho
zinda rahna hai toh tarkiben bahut saari rakho .!

Raah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raaste aawaz dete hain safar jaari rakho .!

Ek hi naddi ke hain ye do kinaare dosto
dostana zindagi se maut se yaari rakho .!

Aate jaate pal ye kahte hain humare kaan mein
kooch ka eilaan hone ko hai tayyari rakho .!

Ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaayam rahe
neend rakho ya na rakho khwab meyari rakho .!

Ye hawayen uḍ na jaayen le ke kaġhaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhari rakho .!

Le to aaye shairi bazar mein ‘rahat’ miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho .!!

आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो।

राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो।

एक ही नद्दी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो।

आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तय्यारी रखो।

ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मेयारी रखो।

ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो।

ले तो आए शाइरी बाज़ार में ‘राहत’ मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो।।