Mere karobar mein sab ne badi imdaad ki / मेरे कारोबार में सब ने बड़ी इमदाद की

by Rahat Indori
4/5 - (1 vote)
Mere karobar mein sab ne badi imdaad ki
daad logon ki gala apna ġhazal ustaad ki .!

Apni saansen bech kar maine jise aabad ki
wo gali jannat toh ab bhi hai magar shaddad ki .!

Umr bhar chalte rahe aankhon pe patti baandh kar
zindagi ko dhundne mein zindagi barbaad ki .!

Daastaanon ke sabhi kirdaar kam hone lage
aaj kaġhaz chunti phirti hai pari baġhdad ki .!

Ik sulagta cheekhta mahaul hai aur kuchh nahin
baat karte ho ‘yagana’ kis aminabad ki .!!

मेरे कारोबार में सब ने बड़ी इमदाद की
दाद लोगों की गला अपना ग़ज़ल उस्ताद की।

अपनी साँसें बेच कर मैं ने जिसे आबाद की
वो गली जन्नत तो अब भी है मगर शद्दाद की।

उम्र भर चलते रहे आँखों पे पट्टी बाँध कर
ज़िंदगी को ढूँडने में ज़िंदगी बर्बाद की।

दास्तानों के सभी किरदार कम होने लगे
आज काग़ज़ चुनती फिरती है परी बग़दाद की।

इक सुलगता चीख़ता माहौल है और कुछ नहीं
बात करते हो ‘यगाना’ किस अमीनाबाद की।।