Masjidon ke sahan tak jaana bahut dushwaar tha / मस्जिदों के सहन तक जाना बहुत दुश्वार था

by Rahat Indori
4/5 - (1 vote)
Masjidon ke sahan tak jaana bahut dushwaar tha
dair se nikla toh mere raste mein daar tha .!

Dekhte hi dekhte shahron ki raunaq ban gaya
kal yahi chehra humare aainon par baar tha .!

Apni qismat mein likhi thi dhoop ki narazgi
saaya-e-deewar tha lekin pas-e-deewar tha .!

Sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe paaye gaye
aadmi kya tha humare shahar ka aḳhbaar tha .!

Ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai naseeb
ik zamana tha ki jab main bhi bahut ḳhuddaar tha .!

मस्जिदों के सहन तक जाना बहुत दुश्वार था
दैर से निकला तो मेरे रास्ते में दार था।

देखते ही देखते शहरों की रौनक़ बन गया
कल यही चेहरा हमारे आइनों पर बार था।

अपनी क़िस्मत में लिखी थी धूप की नाराज़गी
साया-ए-दीवार था लेकिन पस-ए-दीवार था।

सब के दुख सुख उस के चेहरे पर लिखे पाए गए
आदमी क्या था हमारे शहर का अख़बार था।

अब मोहल्ले भर के दरवाज़ों पे दस्तक है नसीब
इक ज़माना था कि जब मैं भी बहुत ख़ुद्दार था।।