Achchha sa koi sapna dekho aur mujhe dekho / अच्छा सा कोई सपना देखो और मुझे देखो

by Sarvat Hussain
4.7/5 - (3 votes)
Achchha sa koi sapna dekho aur mujhe dekho
jaago toh aaina dekho aur mujhe dekho .!

Socho ye khamosh musafir kyon afsurda hai
jab bhi tum darwaza dekho aur mujhe dekho .!

Subah ke thande farsh pe gunja us ka ek suḳhan
kirnon ka guldasta dekho aur mujhe dekho .!

Baazu hain ya do patvaaren naav pe rakkhi hain
lahren leta dariya dekho aur mujhe dekho .!

Do hi cheezen is dharti mein dekhne waali hain
mitti ki sundarta dekho aur mujhe dekho .!!

अच्छा सा कोई सपना देखो और मुझे देखो
जागो तो आईना देखो और मुझे देखो।

सोचो ये ख़ामोश मुसाफ़िर क्यूँ अफ़्सुर्दा है
जब भी तुम दरवाज़ा देखो और मुझे देखो।

सुब्ह के ठंडे फ़र्श पे गूँजा उस का एक सुख़न
किरनों का गुलदस्ता देखो और मुझे देखो।

बाज़ू हैं या दो पतवारें नाव पे रक्खी हैं
लहरें लेता दरिया देखो और मुझे देखो।

दो ही चीज़ें इस धरती में देखने वाली हैं
मिट्टी की सुंदरता देखो और मुझे देखो।।