Baagh tha mujh mein aur fawwara phool mein tha / बाग़ था मुझ में और फ़व्वारा फूल में था

by Sarvat Hussain
4.5/5 - (2 votes)
Baagh tha mujh mein aur fawwara phool mein tha
manzar ye saare ka saara phool mein tha .!

Rāsen thaame thahr gaya main raste mein
jaise jannat ka nazzara phool mein tha .!

Tund hawaayen le gayin us ko saath apne
haan yaaro ik shakhs humara phool mein tha .!

Jaltī aankh mein reg-e-bayaban uḍti thi
aañkh lagī toh main dobara phool mein tha .!

Maine us ko choom ke dekha tha ‘sarvat
barf barasti thi angara phool mein tha .!!

बाग़ था मुझ में और फ़व्वारा फूल में था
मंज़र ये सारे का सारा फूल में था।

रासें थामे ठहर गया मैं रस्ते में
जैसे जन्नत का नज़्ज़ारा फूल में था।

तुंद हवाएँ ले गईं उस को साथ अपने
हाँ यारो इक शख़्स हमारा फूल में था।

जलती आँख में रेग-ए-बयाबाँ उड़ती थी
आँख लगी तो मैं दोबारा फूल में था।

मैं ने उस को चूम के देखा था ‘सरवत
बर्फ़ बरसती थी अंगारा फूल में था।।