Chautha Aadmi – Nazm by Nida Fazli / चौथा आदमी

by Nida Fazli
4.7/5 - (3 votes)
Baithe baithe yunhi qalam le kar
maine kaġhaz ke ek kone par
apni maa
apne baap ke do naam
ek ghera bana ke kaat diye
aur
is gol daayre ke qareeb
apna chhota sa naam taank diya
mere uthte hi, mere bachche ne
poore kaġhaz ko le kar phaad diya !
बैठे बैठे यूँही क़लम ले कर
मैं ने काग़ज़ के एक कोने पर
अपनी माँ
अपने बाप के दो नाम
एक घेरा बना के काट दिए
और
इस गोल दाएरे के क़रीब
अपना छोटा सा नाम टाँक दिया
मेरे उठते ही, मेरे बच्चे ने
पूरे काग़ज़ को ले कर फाड़ दिया !