Wo ladki yaad aati hai
jo honton se nahin poore badan se baat kartt thi
simaTte waqt bhi chaaron dishaaon mein bikharti thi
woh ladki yaad aati hai
woh ladki ab na jaane kis ke bistar ki kiran hogi
abhi tak phool ki maanind hogi ya chaman hogi
sajeeli raat
ab bhi
jab kabhi ghunghat uthaati hai
lachakti kahkashan jab bante bante toot jaati hai
koi albeli khushbo baal khole muskuraati hai
woh ladki yaad aati hai .!! |
वो लड़की याद आती है
जो होंटों से नहीं पूरे बदन से बात करती थी
सिमटते वक़्त भी चारों दिशाओं में बिखरती थी
वो लड़की याद आती है
वो लड़की अब न जाने किस के बिस्तर की किरन होगी
अभी तक फूल की मानिंद होगी या चमन होगी
सजीली रात
अब भी
जब कभी घूँघट उठाती है
लचकती कहकशाँ जब बनते बनते टूट जाती है
कोई अलबेली ख़ुशबू बाल खोले मुस्कुराती है
वो लड़की याद आती है। |