Tere saath guzre dinon ki koi ek dhundli si tasweer ( Bebasi ) – Nazm by Tehzeeb Hafi

by Tehzeeb Hafi
4.7/5 - (3 votes)
Tere saath guzre dinon ki
koi ek dhundli si tasweer
jab bhi kabhi saamne aayegi
toh hamen ek duaa thaamne aayegi
budhaape ki gahraaiyon mein utarte hue
teri belaus baahon ki ghere nahin bhool paayenge hum
hum ko tere tawassut se hanste hue jo mile thay
woh chehre nahin bhool paayenge hum
tere pehloo mein lete huon ka ajab karb hai
jo tujhe raat bhar apni veeran aankhon se takte thay
aur tere shadaab shaanon par sar rakh ke
marne ki khwahish mein jeete rahe .!

Par tere lams ka koi ishaara mayassar nahin tha
magar iss jahan ka koi ik hissa
unhen tere bistar se behtar nahin tha
par mohabbat ko iss sab se koi ilaaqa nahin tha
ek dukh toh baharhaal hum apne seenon mein le kar marenge
ki hum ne mohabbat ke daave kiye
tere maathe par sindoor taanka nahin !

Iss se kya farq padta hai
door hain tujh se ya paas hain
hum koi aadmi toh nahin
hum toh ehsaas hain
jo rahe toh humesha rahenge
aur gaye toh kabhi mud ke wapas nahin aayenge .!!

तेरे साथ गुज़रे दिनों की
कोई एक धुँदली सी तस्वीर
जब भी कभी सामने आएगी
तो हमें एक दुआ थामने आएगी,
बुढ़ापे की गहराइयों में उतरते हुए
तेरी बे-लौस बाँहों के घेरे नहीं भूल पाएँगे हम
हमको तेरे तवस्सुत से हँसते हुए जो मिले थे
वो चेहरे नहीं भूल पाएँगे हम
तेरे पहलू में लेटे हुओं का ‘अजब क़र्ब है
जो रात भर अपनी वीरान आँखों से तुझे तकते थे
और तेरे शादाब शानों पे सिर रख के
मरने की ख़्वाहिश में जीते रहे।

पर तेरे लम्स का कोई इशारा मुयस्सर नहीं था
मगर इस जहाँ का कोई एक हिस्सा
उन्हें तेरे बिस्तर से बेहतर नहीं था
पर मोहब्बत को इस सब से कोई इलाका नहीं था
एक दुख तो हम बहरहाल हम अपने सीनों में ले के मरेंगे
कि हमने मोहब्बत के दावे किए
तेरे माथे पर सिंदूर टाँका नहीं।

इस सेे क्या फ़र्क पड़ता है दूर हैं तुझ सेे या पास हैं
हमको कोई आदमी तो नहीं, हम तो एहसास हैं
जो रहे तो हमेशा रहेंगे
और गए तो मुड़ कर वापिस नहीं आएँगे।।