| Har ladki ke takiye ke neeche tez blade gond ki sheeshi aur kuchh tasweeren hoti hain sone se pahle woh kayi tasweeron ki taraash-kharaash se ek tasveer banaati hai kisi ki aankhen kisi ke chehre par lagaati hai kisi ke jism par kisi ka chehra sajaati hai aur jab is khel se oob jaati hai toh kisi bhi gosht-post ke aadmi ke saath lipat kar so jaati hai .!! |
हर लड़की के तकिए के नीचे तेज़ ब्लेड गोंद की शीशी और कुछ तस्वीरें होती हैं सोने से पहले वो कई तस्वीरों की तराश-ख़राश से एक तस्वीर बनाती है किसी की आँखें किसी के चेहरे पर लगाती है किसी के जिस्म पर किसी का चेहरा सजाती है और जब इस खेल से ऊब जाती है तो किसी भी गोश्त-पोस्त के आदमी के साथ लिपट कर सो जाती है। |