Doobta hua Suraj Shayari / डूबता हुआ सूरज शायरी

5/5 - (3 votes)
Sooraj ko doobte dekh kar
maine har shaam ki tarah
phir aankhen band kar ke
usey maanga..

is baat se bilkul anjaan ki
doobti hui cheez
kisi ko kuchh nahin de sakti
jo khud andheron mein doob raha hai
woh mujhe roshani nahin de sakta .!

magar na jaane kyon
mujhe shaam ka ye manzar bahut pasand hai .!!

सूरज को डूबते देख कर
मैंने हर शाम की तरह
फिर आँखें बंद कर के
उसे माँगा …

इस बात से बिलकुल अनजान कि
डूबती हुई चीज़
किसी को कुछ नहीं दे सकती
जो खुद अंधेरों में डूब रहा है
वो मुझे रोशनी नहीं दे सकता।

मगर ना जाने क्यों
मुझे शाम का ये मंज़र बहुत पसंद है।।