Apne sard kamre mein – Sirf ek ladki – Nazm by Parveen Shakir

by Parveen Shakir
4.7/5 - (3 votes)
Apne sard kamre mein
main udaas baithi hoon
nim-va darichon se
nam hawaayen aati hain
mere jism ko chhoo kar
aag si lagaati hain
tera naam le le kar
mujh ko gudgudaati hain
kaash mere par hote
tere paas ud aati
kaash main hawa hoti
tujh ko chhoo ke laut aati
main nahin magar kuchh bhi
sang dil rivaazon ke
aahani hisaaron mein
umr-qaid ki mulzim
sirf ek ladki hoon !!
अपने सर्द कमरे में
मैं उदास बैठी हूँ
नीम-वा दरीचों से
नम हवाएँ आती हैं
मेरे जिस्म को छू कर
आग सी लगाती हैं
तेरा नाम ले ले कर
मुझ को गुदगुदाती हैं
काश मेरे पर होते
तेरे पास उड़ आती
काश मैं हवा होती
तुझ को छू के लौट आती
मैं नहीं मगर कुछ भी
संग दिल रिवाजों के
आहनी हिसारों में
उम्र-क़ैद की मुल्ज़िम
सिर्फ़ एक लड़की हूँ।।