Shaam ke maskan mein veeraan maykade ka dar khula / शाम के मस्कन में वीराँ मयकदे का दर खुला

Shaam ke maskan mein veeraan maykade ka dar khula : Munir Niazi Ghazal

Shaam ke maskan mein veeraan maykade ka dar khula
baab guzri sohbaton ka khwaab ke andar khula .!

Kuchh na tha juz khwaab-e-vahshat woh wafa is ahad ki
raaz itni der ka is umar mein aa kar khula .!

Ban mein sargoshi hui asaar-e-abr-o-baad se
band-e-ghum se jaise ek ashjaar ka lashkar khula .!

Jagmaga utha andhere mein meri aahat se woh
ye ajab us but ka meri aankh par johar khula .!

Sabza-e-nau-rasta ki khushboo thi saahil par ‘muneer
baadalon ka rang chhatri ki tarah sar par khula .!!

शाम के मस्कन में वीराँ मयकदे का दर खुला : मुनीर नियाज़ी ग़ज़ल 

शाम के मस्कन में वीराँ मय-कदे का दर खुला
बाब गुज़री सोहबतों का ख़्वाब के अंदर खुला।

कुछ न था जुज़ ख़्वाब-ए-वहशत वो वफ़ा इस अहद की
राज़ इतनी देर का इस उम्र में आ कर खुला।

बन में सरगोशी हुई आसार-ए-अब्र-ओ-बाद से
बंद-ए-ग़म से जैसे इक अश्जार का लश्कर खुला।

जगमगा उट्ठा अँधेरे में मेरी आहट से वो
ये अजब उस बुत का मेरी आँख पर जौहर खुला।

सब्ज़ा-ए-नौ-रस्ता की ख़ुशबू थी साहिल पर ‘मुनीर
बादलों का रंग छतरी की तरह सर पर खुला।।