Wo toh khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega | वो तो ख़ुशबू है हवाओं में बिखर जाएगा

by Parveen Shakir
4.7/5 - (4 votes)
Wo toh khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega
masAla phool ka hai phool kidhar jaayega .!

Hum toh samjhe the ki ik zaḳhm hai bhar jaayega
kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaayega .!

Woh hawaon ki tarah khana-ba-jaan phirta hai
ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega .!

Woh jab aayega toh phir us ki rifaaqat ke liye
mausam-e-gul mire aangan mein thahar jaayega .!

Aḳhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyaar bhi dariya hai utar jaayega .!

Mujh ko tahzeeb ke barzaḳh ka banaya waaris
jurm ye bhi mire ajdaad ke sar jaayega .!!

वो तो ख़ुशबू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा।

हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा
क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा।

वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है
एक झोंका है जो आएगा गुज़र जाएगा।

वो जब आएगा तो फिर उस की रिफ़ाक़त के लिए
मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में ठहर जाएगा।

आख़िरश वो भी कहीं रेत पे बैठी होगी
तेरा ये प्यार भी दरिया है उतर जाएगा।

मुझ को तहज़ीब के बर्ज़ख़ का बनाया वारिस
जुर्म ये भी मिरे अज्दाद के सर जाएगा।।