Wo bichhaḍ kar bhi kahan mujh se juda hota hai | वो बिछड़ कर भी कहाँ मुझ से जुदा होता है

by Munawwar Rana
Wo bichhaḍ kar bhi kahan mujh se juda hota hai
ret par os se ik naam likha hota hai .!

Khaak aakhon se lagaai toh ye ehsaas hua
apni mitti se har ik shaḳhs juḍa hota hai .!

Saari duniya ka safar khwab mein kar daala hai
koi manzar ho mira dekha hua hota hai .!

Main bhulana bhi nahin chahta is ko lekin
mustaqil zakhm ka rahna bhi bura hota hai .!

Khauf mein doobe hue shahar ki qismat hai yahi
muntazir rahta hai har shaḳhs ki kya hota hai .!!

वो बिछड़ कर भी कहाँ मुझ से जुदा होता है
रेत पर ओस से इक नाम लिखा होता है।

ख़ाक आँखों से लगाई तो ये एहसास हुआ
अपनी मिट्टी से हर इक शख़्स जुड़ा होता है।

सारी दुनिया का सफ़र ख़्वाब में कर डाला है
कोई मंज़र हो मिरा देखा हुआ होता है।

मैं भुलाना भी नहीं चाहता इस को लेकिन
मुस्तक़िल ज़ख़्म का रहना भी बुरा होता है।

ख़ौफ़ में डूबे हुए शहर की क़िस्मत है यही
मुंतज़िर रहता है हर शख़्स कि क्या होता है।।