Us ki aankhon ka koi khwab nahin ho paaye | उस की आँखों का कोई ख़्वाब नहीं हो पाए

by Komal Joya
Us ki aankhon ka koi khwab nahin ho paaye
hans the waaqif-e-talab nahin ho paaye .!

Girya-e-gham ki haraarat se pighalte hue ashq
sard lahjon se bhi barfaab nahin ho paaye .!

Tum ne jee bhar ke mohabbat ki inayaat ki thi
dasht phir dasht the sairaab nahin ho paaye .!

Hijr ne taur tareeqe toh sikhaaye gham ke
hum magar maail-e-aadab nahin ho paaye .!

Ek din tujh ko achanak ye ḳhabar aayegi
tere beemar shifa-yaab nahin ho paaye .!

Mujh pe kya aata gul-e-surḳh ka mausam ‘komal
jab mire peḍ hi shadaab nahin ho paaye .!!

उस की आँखों का कोई ख़्वाब नहीं हो पाए
हंस थे वाक़िफ़-ए-तालाब नहीं हो पाए।

गिर्या-ए-ग़म की हरारत से पिघलते हुए अश्क
सर्द लहजों से भी बर्फ़ाब नहीं हो पाए।

तुम ने जी भर के मोहब्बत की इनायत की थी
दश्त फिर दश्त थे सैराब नहीं हो पाए।

हिज्र ने तौर तरीक़े तो सिखाए ग़म के
हम मगर माइल-ए-आदाब नहीं हो पाए।

एक दिन तुझ को आचानक ये ख़बर आएगी
तेरे बीमार शिफ़ा-याब नहीं हो पाए।

मुझ पे क्या आता गुल-ए-सुर्ख़ का मौसम ‘कोमल
जब मिरे पेड़ ही शादाब नहीं हो पाए।।