Tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gaye | तुम को भुला रही थी कि तुम याद आ गए

by Anjum Rehbar
Tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gaye
main zahar kha rahi thi ki tum yaad aa gaye .!

Kal meri ek pyari saheli kitaab mein
ik khat chhupa rahi thi ki tum yaad aa gaye .!

Us waqt raat-rani mire soone sehan mein
khushboo luta raha thi ki tum yaad aa gaye .!

Imaan jaaniye ki ise kufr jaaniye
main sar jhuka rahi thi ki tum yaad aa gaye .!

Kal shaam chhat pe mir-taqi-‘mir’ ki ghazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gaye .!

anjum’ tumhara shahar jidhar hai usi taraf
ek rail ja rahi thi ki tum yaad aa gaye .!!

तुम को भुला रही थी कि तुम याद आ गए
मैं ज़हर खा रही थी कि तुम याद आ गए।

कल मेरी एक प्यारी सहेली किताब में
इक ख़त छुपा रही थी कि तुम याद आ गए।

उस वक़्त रात-रानी मिरे सूने सहन में
ख़ुशबू लुटा रही थी कि तुम याद आ गए।

ईमान जानिए कि इसे कुफ़्र जानिए
मैं सर झुका रही थी कि तुम याद आ गए।

कल शाम छत पे मीर-तक़ी-‘मीर’ की ग़ज़ल
मैं गुनगुना रही थी कि तुम याद आ गए।

अंजुम’ तुम्हारा शहर जिधर है उसी तरफ़
इक रेल जा रही थी कि तुम याद आ गए।।