Thakan ko odh ke bistar mein ja ke let gaye | थकन को ओढ़ के बिस्तर में जा के लेट गए

by Munawwar Rana
Thakan ko oḍh ke bistar mein ja ke let gaye
hum apni qabr-e-muqarrar mein ja ke let gaye .!

Tamaam umr hum ik dusre se laḍte rahe
magar mare toh baraabar mein ja ke let gaye .!

Humari tishna-naseebi ka haal mat poochho
woh pyaas thi ki samundar mein ja ke let gaye .!

Na jaane kaisi thakan thi kabhi nahin utri
chale jo ghar se toh daftar mein ja ke let gaye .!

Ye bewaqoof unhen maut se daraate hain
jo khud hi saaya-e-khanjar mein ja ke let gaye .!

Tamaam umr jo nikle na thay haveli se
woh ek gumbad-e-be-dar mein ja ke let gaye .!

Sajaaye phirte thay jhooti ana jo chehron par
woh log qasr-e-sikandar mein ja ke let gaye .!

Saza humari bhi kaati hai baal-bachchon ne
ki hum udaas hue ghar mein ja ke let gaye .!!

थकन को ओढ़ के बिस्तर में जा के लेट गए
हम अपनी क़ब्र-ए-मुक़र्रर में जा के लेट गए।

तमाम उम्र हम इक दूसरे से लड़ते रहे
मगर मरे तो बराबर में जा के लेट गए।

हमारी तिश्ना-नसीबी का हाल मत पूछो
वो प्यास थी कि समुंदर में जा के लेट गए।

न जाने कैसी थकन थी कभी नहीं उतरी
चले जो घर से तो दफ़्तर में जा के लेट गए।

ये बेवक़ूफ़ उन्हें मौत से डराते हैं
जो ख़ुद ही साया-ए-ख़ंजर में जा के लेट गए।

तमाम उम्र जो निकले न थे हवेली से
वो एक गुम्बद-ए-बे-दर में जा के लेट गए।

सजाए फिरते थे झूटी अना जो चेहरों पर
वो लोग क़स्र-ए-सिकंदर में जा के लेट गए।

सज़ा हमारी भी काटी है बाल-बच्चों ने
कि हम उदास हुए घर में जा के लेट गए।।