Teri sohbat mein baitha hoon | तेरी सोहबत में बैठा हूँ

by Anwar Shaoor
Teri sohbat mein baitha hoon
goya jannat mein baitha hoon .!

Deewar-e-zindan ke peechhe
jurm-e-mohabbat mein baitha hoon .!

Ek aawaz pe aa jaaunga
jaisi haalat mein baitha hoon .!

Aa jaao do baaten kar lein
qadre fursat mein baitha hoon .!

Baitha hoon tasweer ke aage
aur haqeeqat mein baitha hoon .!

Ek jhalak dekhi thi us ki
ab tak hairat mein baitha hoon .!

Dekh shuoor’ us buut ke aage
kaise ibaadat mein baitha hoon .!!

तेरी सोहबत में बैठा हूँ
गोया जन्नत में बैठा हूँ।

दीवार-ए-ज़िंदाँ के पीछे
जुर्म-ए-मोहब्बत में बैठा हूँ।

एक आवाज़ पे आ जाऊँगा
जैसी हालत में बैठा हूँ।

आ जाओ दो बातें कर लें
क़द्रे फ़ुर्सत में बैठा हूँ।

बैठा हूँ तस्वीर के आगे
और हक़ीक़त में बैठा हूँ।

एक झलक देखी थी उस की
अब तक हैरत में बैठा हूँ।

देख शुऊर’ उस बुत के आगे
कैसे इबादत में बैठा हूँ।।