Sukoot-e-shaam mein gunji sada udaasi ki | सुकूत-ए-शाम में गूँजी सदा उदासी की

by Rehman Faris
Sukoot-e-shaam mein gunji sada udaasi ki
ki hai mazeed udaasi dawa udaasi ki .!

Bahut shareer tha main aur hansta phirta tha
phir ik faqeer ne de di dua udaasi ki .!

Umoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhl nahin
yahan faqat tiri chalti hai ya udaasi ki .!

Charagh-e-dil ko zara ehtiyaat se rakhna
ki aaj raat chalegi hawa udaasi ki .!

Woh imtizaaj tha aisa ki dang thi har aankh
jamaal-e-yaar ne pahni qaba udaasi ki .!

Isi umeed pe aankhen barasti rahti hain
ki ek din toh sunega khuda udaasi ki .!

Shajar ne poochha ki tujh mein ye kis ki khushboo hai
hawa-e-shaam-e-aalam ne kaha udaasi ki .!

Dil-e-fasurda ko maine toh maar hi daala
so main toh theek hoon ab tu suna udaasi ki .!

Zara sa chhu lein toh ghanton dahakti rahti hai
hamen toh maar gayi ye ada udaasi ki .!

Bahut dinon se main us se nahin mila ‘faris
kahin se khair-khabar le ke aa udaasi ki .!!

सुकूत-ए-शाम में गूँजी सदा उदासी की
कि है मज़ीद उदासी दवा उदासी की।

बहुत शरीर था मैं और हँसता फिरता था
फिर इक फ़क़ीर ने दे दी दुआ उदासी की।

उमूर-ए-दिल में किसी तीसरे का दख़्ल नहीं
यहाँ फ़क़त तिरी चलती है या उदासी की।

चराग़-ए-दिल को ज़रा एहतियात से रखना
कि आज रात चलेगी हवा उदासी की

वो इम्तिज़ाज था ऐसा कि दंग थी हर आँख
जमाल-ए-यार ने पहनी क़बा उदासी की।

इसी उमीद पे आँखें बरसती रहती हैं
कि एक दिन तो सुनेगा ख़ुदा उदासी की।

शजर ने पूछा कि तुझ में ये किस की ख़ुशबू है
हवा-ए-शाम-ए-अलम ने कहा उदासी की।

दिल-ए-फ़सुर्दा को मैं ने तो मार ही डाला
सो मैं तो ठीक हूँ अब तू सुना उदासी की।

ज़रा सा छू लें तो घंटों दहकती रहती है
हमें तो मार गई ये अदा उदासी की।

बहुत दिनों से मैं उस से नहीं मिला ‘फ़ारिस
कहीं से ख़ैर-ख़बर ले के आ उदासी की।।