Shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin | शौक़-ए-रक़्स से जब तक उँगलियाँ नहीं खुलतीं

by Parveen Shakir
4.7/5 - (3 votes)
Shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin
paanv se hawaaon ke bediyaan nahin khultin .!

Ped ko duaa de kar kat gayi bahaaron se
phool itne badh aaye khiḍkiyan nahin khultin .!

Phool ban ke sairon mein aur kaun shamil tha
shojhi-e-saba se toh baaliyan nahin khultin .!

Husn ke samajhne ko umr chahiye jaanan
do ghadi ki chahat mein ladkiyan nahin khultin .!

Koi mauja-e-shirin choom kar jagaayegi
soorajon ke nezon se seepiyan nahin khultin .!

Maa se kya kahengi dukh hijr ka ki khud par bhi
itni chhoti umron ki bachchiyan nahin khultin .!

Shaakh shaakh sargardan kis ki justuju mein hain
kaun se safar mein hain titliyaan nahin khultin .!

Aadhi raat ki chup mein kis ki chaap ubharti hai
chhat pe kaun aata hai seeḍhiyan nahin khultin .!

Paaniyon ke chadhne tak haal kah saken aur phir
kya qayaamaten guzrin bastiyan nahin khultin .!!

शौक़-ए-रक़्स से जब तक उँगलियाँ नहीं खुलतीं
पाँव से हवाओं के बेड़ियाँ नहीं खुलतीं।

पेड़ को दुआ दे कर कट गई बहारों से
फूल इतने बढ़ आए खिड़कियाँ नहीं खुलतीं।

फूल बन के सैरों में और कौन शामिल था
शोख़ी-ए-सबा से तो बालियाँ नहीं खुलतीं।

हुस्न के समझने को उम्र चाहिए जानाँ
दो घड़ी की चाहत में लड़कियाँ नहीं खुलतीं।

कोई मौजा-ए-शीरीं चूम कर जगाएगी
सूरजों के नेज़ों से सीपियाँ नहीं खुलतीं।

माँ से क्या कहेंगी दुख हिज्र का कि ख़ुद पर भी
इतनी छोटी उम्रों की बच्चियाँ नहीं खुलतीं।

शाख़ शाख़ सरगर्दां किस की जुस्तुजू में हैं
कौन से सफ़र में हैं तितलियाँ नहीं खुलतीं।

आधी रात की चुप में किस की चाप उभरती है
छत पे कौन आता है सीढ़ियाँ नहीं खुलतीं।

पानियों के चढ़ने तक हाल कह सकें और फिर
क्या क़यामतें गुज़रीं बस्तियाँ नहीं खुलतीं।।