Sabz mausam ki khabar le ke hawa aayi ho | सब्ज़ मौसम की ख़बर ले के हवा आई हो

by Parveen Shakir
Sabz mausam ki khabar le ke hawa aayi ho
kaam patjhaḍ ke aseeron ki dua aayi ho .!

Laut aayi ho woh shab jis ke guzar jaane par
ghaat se paayalen bajne ki sada aayi ho .!

Isi ummeed mein har mauj-e-hawa ko chuma
choo ke shayad mire pyaaron ki qaba aayi ho .!

Geet jitne likhe un ke liye aey mauj-e-saba
dil yahi chaha ki toh un ko suna aayi ho .!

Aahaten sirf hawaaon ki hi dastak na banen
ab toh darwaazon pe maanoos sada aayi ho .!

Yun sar-e-aam khule sar main kahan tak baithun
kisi jaanib se toh ab meri rida aayi ho .!

Jab bhi barsaat ke din aaye yahi jee chaha
dhoop ke shahar mein bhi ghir ke ghata aayi ho .!

Tere tohfe toh sab achchhe hain magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye ḳhushboo-e-hina aayi ho .!!

सब्ज़ मौसम की ख़बर ले के हवा आई हो
काम पतझड़ के असीरों की दुआ आई हो।

लौट आई हो वो शब जिस के गुज़र जाने पर
घाट से पायलें बजने की सदा आई हो।

इसी उम्मीद में हर मौज-ए-हवा को चूमा
छू के शायद मिरे प्यारों की क़बा आई हो।

गीत जितने लिखे उन के लिए ऐ मौज-ए-सबा
दिल यही चाहा कि तो उन को सुना आई हो।

आहटें सिर्फ़ हवाओं की ही दस्तक न बनें
अब तो दरवाज़ों पे मानूस सदा आई हो।

यूँ सर-ए-आम खुले सर मैं कहाँ तक बैठूँ
किसी जानिब से तो अब मेरी रिदा आई हो।

जब भी बरसात के दिन आए यही जी चाहा
धूप के शहर में भी घिर के घटा आई हो।

तेरे तोहफ़े तो सब अच्छे हैं मगर मौज-ए-बहार
अब के मेरे लिए ख़ुशबू-ए-हिना आई हो।।