Sab ko bachaao khud bhi bacho faasla rakho / सब को बचाओ ख़ुद भी बचो फ़ासला रखो

by Jawad Sheikh
4/5 - (1 vote)
Sab ko bachaao khud bhi bacho faasla rakho
ab aur kuchh karo na karo faasla rakho .!

Khatra toh muft mein bhi nahin lena chahiye
ghar se nikal ke mol na lo faasla rakho .!

Filhaal is se bachne ka hai ek rasta
wo ye ki is se bach ke raho faasla rakho .!

Dushman hai aur tarah ka jung aur tarah ki
aage baḍho na peechhe hato faasla rakho .!

Hal bhī talaash kar liya jaayega an-qareeb
tum is waba ko baḍhne na do faasla rakho .!

Rakhne ki bas ye teen hi cheezen hain in dinon
himmat rakho yaqeen rakho faasla rakho .!

Karte ho jis tarah bure logon se ijtinaab
achchhon se bhī gurez karo faasla rakho .!!

सब को बचाओ ख़ुद भी बचो फ़ासला रखो
अब और कुछ करो न करो फ़ासला रखो।

ख़तरा तो मुफ़्त में भी नहीं लेना चाहिए
घर से निकल के मोल न लो फ़ासला रखो।

फ़िलहाल इस से बचने का है एक रास्ता
वो ये कि इस से बच के रहो फ़ासला रखो।

दुश्मन है और तरह का जंग और तरह की
आगे बढ़ो न पीछे हटो फ़ासला रखो।

हल भी तलाश कर लिया जाएगा अन-क़रीब
तुम इस वबा को बढ़ने न दो फ़ासला रखो।

रखने की बस ये तीन ही चीज़ें हैं इन दिनों
हिम्मत रखो यक़ीन रखो फ़ासला रखो।

करते हो जिस तरह बुरे लोगों से इज्तिनाब
अच्छों से भी गुरेज़ करो फ़ासला रखो।।