Paraai neend mein sone ka tajurba kar ke | पराई नींद में सोने का तजरबा कर के

by Ali Zaryoun
Paraai neend mein sone ka tajurba kar ke
main khush nahin hoon tujhe khud mein mubtala kar ke .!

Usooli taur pe mar jaana chahiye tha magar
mujhe sukoon mila hai tujhe juda kar ke .!

Ye kyon kaha ki tujhe mujh se pyaar ho jaaye
taḍap utha hoon tire haq mein bad-dua kar ke .!

Main chahta hoon kharidaar par ye khul jaaye
naya nahin hoon rakha hoon yahan naya kar ke .!

Main jutiyon mein bhi baitha hoon poore maan ke saath
kisi ne mujh ko bulaaya hai iltija kar ke .!

Bashar samajh ke kiya tha na yun nazar-andaaz
le main bhi chhoḍ raha hoon tujhe khuda kar ke .!

Toh phir woh rote hue minnaten bhi maante hain
ko intiha nahin karte hain ibtida kar ke .!

Badal chuka hai mira lams nafsiyaat us ki
ki rakh diya hai usey maine an-chhua kar ke .!

Manaa bhi lunga gale bhi lagaaunga main ‘ali
abhi toh dekh raha hoon use khafa kar ke .!!

पराई नींद में सोने का तजरबा कर के
मैं ख़ुश नहीं हूँ तुझे ख़ुद में मुब्तला कर के।

उसूली तौर पे मर जाना चाहिए था मगर
मुझे सुकून मिला है तुझे जुदा कर के।

ये क्यूँ कहा कि तुझे मुझ से प्यार हो जाए
तड़प उठा हूँ तिरे हक़ में बद-दुआ कर के।

मैं चाहता हूँ ख़रीदार पर ये खुल जाए
नया नहीं हूँ रखा हूँ यहाँ नया कर के।

मैं जूतियों में भी बैठा हूँ पूरे मान के साथ
किसी ने मुझ को बुलाया है इल्तिजा कर के।

बशर समझ के किया था ना यूँ नज़र-अंदाज़
ले मैं भी छोड़ रहा हूँ तुझे ख़ुदा कर के।

तो फिर वो रोते हुए मिन्नतें भी मानते हैं
जो इंतिहा नहीं करते हैं इब्तिदा कर के।

बदल चुका है मिरा लम्स नफ़सियात उस की
कि रख दिया है उसे मैं ने अन-छुआ कर के।

मना भी लूँगा गले भी लगाऊँगा मैं ‘अली
अभी तो देख रहा हूँ उसे ख़फ़ा कर के।।