Nazar thaharti nahin hai rukh aaftab hi hai | Umair Najmi Ghazal

Nazar thaharti nahin hai rukh aaftab hi hai : Umair Najmi Ghazal

Nazar thaharti nahin hai ruḳh aaftab hi hai
yaqeen kar tiri be-pardagi hijaab hi hai .!

Tumhara saath ik ezaazi ohda hai jis mein
kuchh iḳhtiyaar nahin dost ezaazi hi hai .!

Humari oongh kabhi neend tak gayi hi nahin
so ḳhwaab dekhna ta-haal ek khwaab hi hai .!

Kasam ḳhuda ki baḍi der kuchh nahin dikhta
ba-ghaur us ki taraf dekhna azaab hi hai .!

Mira badan bhi kam-o-besh hai zameen ki tarah
ki do tihaai toh is ka bhi zer-e-aab hi hai .!

Kharaab raste pe taḳhti dikhi toh ruk ke paḍhi
likha tha rasta yahi hai magar kharaab hi hai .!

Hum ek haath ki doori pe saath phirte hain
woh dastaras mein nahin hai woh dastyaab hi hai .!

Tiri talab agar aasudgi hai rab-raakha
humare paas toh le de ke iztiraab hi hai .!

Main kuchh bhi poochhe baghair uth ke aa gaya ‘najmi
samajh gaya tha use dekh kar jawaab hi hai .!!

नज़र ठहरती नहीं है रुख़ आफ़्ताब ही है : उमैर नजमी ग़ज़ल

नज़र ठहरती नहीं है रुख़ आफ़्ताब ही है
यक़ीन कर तिरी बे-पर्दगी हिजाब ही है।

तुम्हारा साथ इक एज़ाज़ी ओहदा है जिस में
कुछ इख़्तियार नहीं दोस्त एज़ाज़ी ही है।

हमारी ऊँघ कभी नींद तक गई ही नहीं
सो ख़्वाब देखना ता-हाल एक ख़्वाब ही है।

क़सम ख़ुदा की बड़ी देर कुछ नहीं दिखता
ब-ग़ौर उस की तरफ़ देखना अज़ाब ही है।

मिरा बदन भी कम-ओ-बेश है ज़मीं की तरह
कि दो तिहाई तो इस का भी ज़ेर-ए-आब ही है।

ख़राब रस्ते पे तख़्ती दिखी तो रुक के पढ़ी
लिखा था रस्ता यही है मगर ख़राब ही है।

हम एक हाथ की दूरी पे साथ फिरते हैं
वो दस्तरस में नहीं है वो दस्तयाब ही है।

तिरी तलब अगर आसूदगी है रब-राखा
हमारे पास तो ले दे के इज़्तिराब ही है।

मैं कुछ भी पूछे बग़ैर उठ के आ गया ‘नजमी
समझ गया था उसे देख कर जवाब ही है।।