Mujhe gharaz hai sitaare na mahtab ke saath | मुझे ग़रज़ है सितारे न माहताब के साथ

by Rehman Faris
Mujhe gharaz hai sitaare na mahtab ke saath : Rehman Faris Ghazal

Mujhe gharaz hai sitaare na mahtab ke saath
chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath .!

Napi-tuli si mohabbat laga bandha sa karam
nibha rahe ho taalluq baḍe hisaab ke saath .!

Main is liye nahin thakta tire taaqub se
mujhe yaqeen hai ki paani bhi hai saraab ke saath .!

Sawaal-e-wasl pe inkaar karne waale sun
sawaal khatm nahin hoga is jawaab ke saath .!

Khamosh jheel ke paani mein woh udaasi thi
ki dil bhi doob gaya raat mahtab ke saath .!

Jataa diya ki mohabbat mein gham bhi hote hain
diya gulaab toh kaante bhi the gulaab ke saath .!

Main le uḍunga tire khadd-o-ḳhal se taabir
na dekh meri taraf chashm-e-neem-khwab ke saath .!

Are ye sirf bahaana hai baat karne ka
miri majaal ki jhagḍa karun janaab ke saath .!

Visaal-o-hijr ki sarhad pe jhutpute mein kahin
woh be-hijaab hua tha magar hijaab ke saath .!

Shikasta aaina dekha phir apna dil dekha
dikhaai di mujhe taabir-e-khwab khwab ke saath .!

Wahan milunga jahan donon waqt milte hain
main kamnaseeb tire jaise kaamyab ke saath .!

Dayar-e-hijr ke roza-guzaar chahte hain
ki roza kholen tire aur sharab-e-naab ke saath .!

Tum achchhi dost ho so mera mashwara ye hai
mila-jula na karo ‘faris-e-ḳharaab ke saath .!!

मुझे ग़रज़ है सितारे न माहताब के साथ : रहमान फ़ारिस ग़ज़ल

मुझे ग़रज़ है सितारे न माहताब के साथ
चमक रहा है ये दिल पूरी आब-ओ-ताब के साथ।

नपी-तुली सी मोहब्बत लगा बँधा सा करम
निभा रहे हो ताल्लुक बड़े हिसाब के साथ।

मैं इस लिए नहीं थकता तिरे तआक़ुब से
मुझे यक़ीं है कि पानी भी है सराब के साथ।

सवाल-ए-वस्ल पे इंकार करने वाले सुन
सवाल ख़त्म नहीं होगा इस जवाब के साथ।

ख़मोश झील के पानी में वो उदासी थी
कि दिल भी डूब गया रात माहताब के साथ।

जता दिया कि मोहब्बत में ग़म भी होते हैं
दिया गुलाब तो काँटे भी थे गुलाब के साथ

मैं ले उड़ूँगा तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से ताबीर
न देख मेरी तरफ़ चश्म-ए-नीम-ख़्वाब के साथ।

अरे ये सिर्फ़ बहाना है बात करने का
मिरी मजाल कि झगड़ा करूँ जनाब के साथ।

विसाल-ओ-हिज्र की सरहद पे झुटपुटे में कहीं
वो बेहिजाब हुआ था मगर हिजाब के साथ।

शिकस्ता आइना देखा फिर अपना दिल देखा
दिखाई दी मुझे ताबीर-ए-ख़्वाब ख़्वाब के साथ।

वहाँ मिलूँगा जहाँ दोनों वक़्त मिलते हैं
मैं कमनसीब तिरे जैसे कामयाब के साथ।

दयार-ए-हिज्र के रोज़ा-गुज़ार चाहते हैं
कि रोज़ा खोलें तिरे और शराब-ए-नाब के साथ।

तुम अच्छी दोस्त हो सो मेरा मशवरा ये है
मिला-जुला न करो ‘फ़ारिस’-ए-ख़राब के साथ।।