Muddat ke baad aisi sunayi khabar mujhe | मुद्दत के बाद ऐसी सुनाई ख़बर मुझे

by Manzar Lakhnavi
Muddat ke baad aisi sunayi khabar mujhe
Main nama-bar ko dekhta hoon nama-bar mujhe .!

Mahfil pe apni naaz tumhen maut par mujhe
Bas jaao ab na dekhna kal se idhar mujhe .!

Sau raaten ek hijr ki shab mein tamaam kiin
Jab aankh band ki nazar aayi sahar mujhe .!

Saada waraq jawaab mein ik la ke de gaya
Deewana jaanta hai mira nama-bar mujhe .!

Haan thi kabhi tameez siyaah-o-safed mein
Aur ab toh jaisi shaam hai waisi sahar mujhe .!

Naavak kamaan mein joḍ ke kahte hain naaz se
Haan kaun kaun kahta hai bedaad-gar mujhe .!

Manzar’ ye shor-e-nauha gham-e-nazA mein hai kyon
nakaamiyon ko rote hain ya chara-gar mujhe .!!

मुद्दत के बाद ऐसी सुनाई ख़बर मुझे
मैं नामा-बर को देखता हूँ नामा-बर मुझे।

महफ़िल पे अपनी नाज़ तुम्हें मौत पर मुझे
बस जाओ अब न देखना कल से इधर मुझे।

सौ रातें एक हिज्र की शब में तमाम कीं
जब आँख बंद की नज़र आई सहर मुझे।

सादा वरक़ जवाब में इक ला के दे गया
दीवाना जानता है मिरा नामा-बर मुझे।

हाँ थी कभी तमीज़ सियाह-ओ-सफ़ेद में
और अब तो जैसी शाम है वैसी सहर मुझे।

नावक कमाँ में जोड़ के कहते हैं नाज़ से
हाँ कौन कौन कहता है बेदाद-गर मुझे।

मंज़र’ ये शोर-ए-नौहा ग़म-ए-नज़्अ’ में है क्यूँ
नाकामियों को रोते हैं या चारा-गर मुझे।।