Meri teri dooriyan hain ab ibadat ke khilaf / मेरी तेरी दूरियाँ हैं अब इबादत के ख़िलाफ़

by Nida Fazli
4.5/5 - (2 votes)
Meri teri dooriyan hain ab ibadat ke khilaf
har taraf hai fauj-aaraai mohabbat ke khilaf .!

Harf-e-sarmad khoon-e-dara ke alawa shahar mein
kaun hai jo sar uthaye badshahat ke khilaf .!

Pahle jaisa hi dukhi hai aaj bhi booḍha kabir
koi aayat ka muḳhalif koi murat ke khilaf .!

Main bhi chup hoon tu bhi chup hai baat ye sach hai magar
ho raha hai jo bhi wo toh hai tabiyat ke khilaf .!

Muddaton ke baad dekha tha usey achchha laga
der tak hansta raha wo apni aadat ke khilaf .!!

मेरी तेरी दूरियाँ हैं अब इबादत के ख़िलाफ़
हर तरफ़ है फ़ौज-आराई मोहब्बत के ख़िलाफ़।

हर्फ़-ए-सरमद ख़ून-ए-दारा के अलावा शहर में
कौन है जो सर उठाए बादशाहत के ख़िलाफ़।

पहले जैसा ही दुखी है आज भी बूढ़ा कबीर
कोई आयत का मुख़ालिफ़ कोई मूरत के ख़िलाफ़।

मैं भी चुप हूँ तू भी चुप है बात ये सच है मगर
हो रहा है जो भी वो तो है तबीअत के ख़िलाफ़।

मुद्दतों के बा’द देखा था उसे अच्छा लगा
देर तक हँसता रहा वो अपनी आदत के ख़िलाफ़।।