Masti hai kaifiyat hai nasha hai sharab hai | मस्ती है कैफ़ियत है नशा है शराब है

Masti hai kaifiyat hai nasha hai sharab hai
teri nigaah baada-kadon ka jawaab hai .!

Teri nazar ka kaif sharaabon ki aarzoo
tere labon ka rang gulaabon ka khwab hai .!

Aay dost aaj mil ki hai dil sakht garm-josh
aey dost aaj aa ki nazar pur-shabaab hai .!

Waajib sahi tilaawat-e-jaam-o-nigaar-o-gul
dil ko bhi padh ki ye bhi muqaddas kitaab hai .!

Aaya hadees-e-dil mein tiri zaat ka bayaan
is ko suna yahan se ye dilchasp baab hai .!

Har cheez par jo aaj musallat hai be-hisi
shaukat’ zamana muntazir-e-inqalaab hai .!!

मस्ती है कैफ़ियत है नशा है शराब है
तेरी निगाह बादा-कदों का जवाब है।

तेरी नज़र का कैफ़ शराबों की आरज़ू
तेरे लबों का रंग गुलाबों का ख़्वाब है।

ऐ दोस्त आज मिल कि है दिल सख़्त गर्म-जोश
ऐ दोस्त आज आ कि नज़र पुर-शबाब है।

वाजिब सही तिलावत-ए-जाम-ओ-निगार-ओ-गुल
दिल को भी पढ़ कि ये भी मुक़द्दस किताब है।

आया हदीस-ए-दिल में तिरी ज़ात का बयान
इस को सुना यहाँ से ये दिलचस्प बाब है।

हर चीज़ पर जो आज मुसल्लत है बेहिसी
शौकत’ ज़माना मुंतज़िर-ए-इंक़लाब है।।