Main khwahishon ke azaab le kar chala gaya hoon | मैं ख्वाहिशों के अज़ाब ले कर चला गया हूँ

by Khalil Ur Rehman Qamar
Main khwahishon ke azaab le kar chala gaya hoon
woh dil woh khana-kharab le kar chala gaya hoon .!

Main chhod kar apni raah takti udaas aankhen
jo bach gaye thay woh khwab le kar chala gaya hoon .!

Jis pe maine mohabbaton ki bahi likhi thi
woh ek mamnooa kitaab le kar chala gaya hoon .!

Bas ik ajal ko suna gaya hoon jo dastaan thi
main zindagi se hisaab le kar chala gaya hoon .!

Main qaafilon ko dikha gaya hoon nishan-e-manzil
main raston ke saraab le kar chala gaya hoon .!

Unhen kaho ki main dhoondne se nahin milunga
main gard-e-raah ki naqaab le kar chala gaya hoon .!

 

मैं ख्वाहिशों के अज़ाब ले कर चला गया हूँ
वो दिल वो ख़ाना-ख़राब लेकर चला गया हूँ।

मैं छोड़ कर अपनी राह तकती उदास आँखें
जो बच गए थे वो ख़्वाब लेकर चला गया हूँ।

जिस पे मैंने मोहब्बतों की बही लिखी थी
वो एक ममनून किताब लेकर चला गया हूँ।

बस एक अजल को सुना गया हूँ जो दास्ताँ थी
मैं ज़िंदगी से हिसाब लेकर चला गया हूँ।

मैं काफ़िलों को दिखा गया हूँ निशाने मंज़िल
मैं रास्तों के सराब लेकर चला गया हूँ।

उन्हें कहो कि मैं ढूँढने से नहीं मिलूँगा
मैं गर्द-ए-राह की नक़ाब लेकर चला गया हूँ।