Main chahta hoon ki dil mein tera khayal na ho / मैं चाहता हूँ कि दिल में तिरा ख़याल न हो

by Jawad Sheikh
4.5/5 - (2 votes)
Main chahta hoon ki dil mein tera khayal na ho
ajab nahin ki meri zindagi wabaal na ho .!

Main chahta hoon tu yak-dam hi chhod jaaye mujhe
ye har ghadi tere jaane ka ehtimaal na ho .!

Main chahta hoon mohabbat pe ab ki baar aaye
zawaal aisa ki jis ko kabhi zawaal na ho .!

Main chahta hoon mohabbat sire se mit jaaye
main chahta hoon usey sochna muhaal na ho .!

Main chahta hoon mohabbat mujhe fanaa kar de
fanaa bhi aisa ki jis ki koi misaal na ho .!

Main chahta hoon mohabbat mera woh haal kare
ki khwab mein bhi dobara kabhi mazaal na ho .!

Main chahta hoon ki itna hi rabt reh jaaye
woh yaad aaye magar bhoolna muhaal na ho

Main chahta hoon meri aankhen noch li jaayen
tera khayal kisi taar paayemal na ho .!

Main chahta hoon ki main zakhm zakhm ho jaaun
aur is tarah ki kabhi khauf-e-indimaal na ho .!

Meri misaal ho sab ki nigaah mein ‘jawwad
main chahta hoon kisi aur ka ye haal na ho .!!

मैं चाहता हूँ कि दिल में तिरा ख़याल न हो
अजब नहीं कि मिरी ज़िंदगी वबाल न हो।

मैं चाहता हूँ तू यक-दम ही छोड़ जाए मुझे
ये हर घड़ी तिरे जाने का एहतिमाल न हो।

मैं चाहता हूँ मोहब्बत पे अब की बार आए
ज़वाल ऐसा कि जिस को कभी ज़वाल न हो।

मैं चाहता हूँ मोहब्बत सिरे से मिट जाए
मैं चाहता हूँ उसे सोचना मुहाल न हो।

मैं चाहता हूँ मोहब्बत मुझे फ़ना कर दे
फ़ना भी ऐसा कि जिस की कोई मिसाल न हो।

मैं चाहता हूँ मोहब्बत मिरा वो हाल करे
कि ख़्वाब में भी दोबारा कभी मजाल न हो।

मैं चाहता हूँ कि इतना ही रब्त रह जाए
वो याद आए मगर भूलना मुहाल न हो।

मैं चाहता हूँ मिरी आँखें नोच ली जाएँ
तिरा ख़याल किसी तौर पाएमाल न हो।

मैं चाहता हूँ कि मैं ज़ख़्म ज़ख़्म हो जाऊँ
और इस तरह कि कभी ख़ौफ़-ए-इंदिमाल न हो।

मिरी मिसाल हो सब की निगाह में ‘जव्वाद
मैं चाहता हूँ किसी और का ये हाल न हो।।