Khaak udti hai raat bhar mujh mein | ख़ाक उड़ती है रात-भर मुझ में

by Rehman Faris
Khaak udti hai raat bhar mujh mein : Rehman Faris Ghazal

Khaak udti hai raat bhar mujh mein
kaun phirta hai dar-ba-dar mujh mein !

Mujh ko ḳhud mein jagah nahin milti
tu hai maujood is qadar mujh mein !

Mausam-e-girya ek guzaarish hai
gham ke pakne talak thahar mujh mein !

Be-ghari ab mira muqaddar hai
ishq ne kar liya hai ghar mujh mein !

Aap ka dhyan khoon ke maanind
dauḍta hai idhar-udhar mujh mein !

Hausla ho toh baat ban jaaye
hausla hi nahin magar mujh mein !!

ख़ाक उड़ती है रात-भर मुझ में : रहमान फ़ारिस ग़ज़ल

ख़ाक उड़ती है रात-भर मुझ में
कौन फिरता है दर-ब-दर मुझ में।

मुझ को ख़ुद में जगह नहीं मिलती
तू है मौजूद इस क़दर मुझ में।

मौसम-ए गिर्या एक गुज़ारिश है
ग़म के पकने तलक ठहर मुझ में।

बे-घरी अब मिरा मुक़द्दर है
इश्क़ ने कर लिया है घर मुझ में।

आप का ध्यान ख़ून के मानिंद
दौड़ता है इधर-उधर मुझ में।

हौसला हो तो बात बन जाए
हौसला ही नहीं मगर मुझ में।।