Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta | कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता

by Nida Fazli
4.7/5 - (3 votes)
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen kahin aasman nahin milta .!

Tamam shahar mein aisa nahin ḳhuloos na ho
jahan ummeed ho is ki wahan nahin milta .!

Kahan charagh jalaayen kahan gulaab rakhen
chhaten toh milti hain lekin makan nahin milta .!

Ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hain
zabāñ mili hai magar hum-zaban nahin milta .!

Charagh jalte hi binaai bujhne lagti hai
khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta .!!

कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।

तमाम शहर में ऐसा नहीं ख़ुलूस न हो
जहाँ उमीद हो इस की वहाँ नहीं मिलता।

कहाँ चराग़ जलाएँ कहाँ गुलाब रखें
छतें तो मिलती हैं लेकिन मकाँ नहीं मिलता।

ये क्या अज़ाब है सब अपने आप में गुम हैं
ज़बाँ मिली है मगर हम-ज़बाँ नहीं मिलता।

चराग़ जलते ही बीनाई बुझने लगती है
ख़ुद अपने घर में ही घर का निशाँ नहीं मिलता।।