Kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha | कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ़ नहीं देखा

by Munawwar Rana
Kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha
tumhaare baad kisi ki taraf nahin dekha .!

Ye soch kar ki tira intizaar laazim hai
tamaam umr ghadi ki taraf nahin dekha .!

Yahan toh jo bhi hai aab-e-ravaan ka aashiq hai
kisi ne khushk nadi ki taraf nahin dekha .!

Woh jis ke waaste pardes ja raha hoon main
bichhadte waqt usi ki taraf nahin dekha .!

Na rok le humein rota hua koi chehra
chale toh mud ke gali ki taraf nahin dekha .!

Bichhadte waqt bahut mutmaeen thay ham donon
kisi ne mud ke kisi ki taraf nahin dekha .!

Ravish buzurgon ki shaamil hai meri ghutti mein
zarooratan bhi sakhi ki taraf nahin dekha .!!

कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ़ नहीं देखा
तुम्हारे बाद किसी की तरफ़ नहीं देखा।

ये सोच कर कि तिरा इंतिज़ार लाज़िम है
तमाम उम्र घड़ी की तरफ़ नहीं देखा।

यहाँ तो जो भी है आब-ए-रवाँ का आशिक़ है
किसी ने ख़ुश्क नदी की तरफ़ नहीं देखा।

वो जिस के वास्ते परदेस जा रहा हूँ मैं
बिछड़ते वक़्त उसी की तरफ़ नहीं देखा।

न रोक ले हमें रोता हुआ कोई चेहरा
चले तो मुड़ के गली की तरफ़ नहीं देखा।

बिछड़ते वक़्त बहुत मुतमइन थे हम दोनों
किसी ने मुड़ के किसी की तरफ़ नहीं देखा।

रविश बुज़ुर्गों की शामिल है मेरी घुट्टी में
ज़रूरतन भी सखी की तरफ़ नहीं देखा।।