Jin ke aangan mein ameeri ka shajar lagta hai | जिन के आँगन में अमीरी का शजर लगता है

by Anjum Rehbar
Jin ke aangan mein ameeri ka shajar lagta hai
un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai .!

Chaand taare mire qadmon mein bichhe jaate hain
ye buzurgon ki duaaon ka asar lagta hai .!

Maa mujhe dekh ke naraaz na ho jaaye kahin
sar pe aanchal nahin hota hai toh dar lagta hai .!!

जिन के आँगन में अमीरी का शजर लगता है
उन का हर ऐब ज़माने को हुनर लगता है।

चाँद तारे मिरे क़दमों में बिछे जाते हैं
ये बुज़ुर्गों की दुआओं का असर लगता है।

माँ मुझे देख के नाराज़ न हो जाए कहीं
सर पे आँचल नहीं होता है तो डर लगता है।।