Jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo / जंगल जंगल शौक़ से घूमो दश्त की सैर मुदाम करो

by Ibn-e-Insha
4/5 - (1 vote)
Jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo
insha’-ji hum paas bhi lekin raat ki raat qayaam karo .!

Ashkon se apne dil ko hikaayat daaman par irqaam karo
ishq mein jab yahi kaam hai yaar vale ke khuda ka naam karo .!

Kab se khade hain bar mein khiraj-e-ishq ke liye sar-e-rah-guzar
ek nazar se saada-ruḳho hum saada-dilon ko ghulam karo .!

Dil ki mataA toh loot rahe ho husn ki di hai zakat kabhi
roz-e-hisab qareeb hai logo kuchh toh sawaab ka kaam karo .!

Mir’ se baiAt ki hai toh insha’ mir ki baiAt bhi hai zaroor
shaam ko ro ro subah karo ab subah ko ro ro shaam karo .!!

जंगल जंगल शौक़ से घूमो दश्त की सैर मुदाम करो
‘इंशा’-जी हम पास भी लेकिन रात की रात क़याम करो।

अश्कों से अपने दिल को हिकायत दामन पर इरक़ाम करो
इश्क़ में जब यही काम है यार वले के ख़ुदा का नाम करो।

कब से खड़े हैं बर में ख़िराज-ए-इश्क़ के लिए सर-ए-राहगुज़ार
एक नज़र से सादा-रुख़ो हम सादा-दिलों को ग़ुलाम करो।

दिल की मताअ’ तो लूट रहे हो हुस्न की दी है ज़कात कभी
रोज़-ए-हिसाब क़रीब है लोगो कुछ तो सवाब का काम करो।

मीर’ से बैअ’त की है तो ‘इंशा’ मीर की बैअ’त भी है ज़रूर
शाम को रो रो सुब्ह करो अब सुब्ह को रो रो शाम करो।।