Jab us ko chhod kar baahar gaya tha | जब उस को छोड़ कर बाहर गया था

Jab us ko chhod kar baahar gaya tha : Umair Najmi Ghazal

Jab us ko chhoḍ kar baahar gaya tha
mujhe jis-jis ne dekha dar gaya tha .!

Nihattha tha main talwaaron ke aage
agar baazu bachaata sar gaya tha .!

Muqaddar tha ḳhala jaisa tajarrud
main jis raftaar se oopar gaya tha .!

Tu koshish kar ki aakhen khaali ho jaayen
humara zaḳhm aise bhar gaya tha .!

Dikhaaye zindagi bhar saath ke khwaab
phir ek shab neend mein woh mar gaya tha .!

Laga na dasht se aaya hoon ‘najmi
main halfan kah raha hoon ghar gaya tha .!!

जब उस को छोड़ कर बाहर गया था : उमैर नजमी ग़ज़ल

जब उस को छोड़ कर बाहर गया था
मुझे जिस-जिस ने देखा डर गया था।

निहत्था था मैं तलवारों के आगे
अगर बाज़ू बचाता सर गया था।

मुक़द्दर था ख़ला जैसा तजर्रुद
मैं जिस रफ़्तार से ऊपर गया था।

तू कोशिश कर कि आँखें ख़ाली हो जाएँ
हमारा ज़ख़्म ऐसे भर गया था।

दिखाए ज़िंदगी भर साथ के ख़्वाब
फिर एक शब नींद में वो मर गया था।

लगा ना दश्त से आया हूँ ‘नजमी
मैं हलफ़न कह रहा हूँ घर गया था।।